Mausam Ye Kyun Bdal Gya - Sonali Cable

Mausam yeh kyun badal gaya
Seene se kuch nikal gaya
Apna koi mujhe chhod ke gaya
Chala gaya
Aa... aa..
Laqeerein ro padi haathon mein kahin
Dil hai dukha baaton-baaton mein kahin
Laqeeren ro padi, haathon mein kahin
Dil hai dukha baaton-baaton mein kahin
Kyun neendein lagein ab kaanch si
Sapney sabhi athra gaye...
Kyun chalte huve hum apne hi
Saaye se takra gaye
Socha tha kya, kya ho gaya
Mausam yeh kyun badal gaya
Seene se kuch nikal gaya
Aa... aa....
Dil mein tere kahin kharidun woh zameen
Kharchun mein abhi, jo sapne hai sabhi
Woh armaano ka hai chhota sa ghar
Aa jaao tum, mere humsafar..
Main tumhaare hi saath rahoon umr bhar
Chaaha tha yeh maine toh par
Do lamhon mein sab khatam ho gaya
Mausam yeh kyu badal gaya
Seene se kuch nikal gaya
Apna koi mujhe chhod ke gaya, chala gaya
Mausam ye kyun badal gaya..